mire nasīb kā hai yā sitāra ḳhvāb kā hai
safar ke baab meñ lekin sahārā ḳhvāb kā hai
tire ḳhayāl kā sahrā ubuur karne meñ
hai naf.a dard kā lekin ḳhasāra ḳhvāb kā hai
jale-bujhe hue ḳheme kī raakh meñ jis ko
sitāre DhūñDte haiñ vo sharāra ḳhvāb kā hai
ḳhudā kare ki khule ek din zamāne par
mirī kahānī meñ jo isti.āra ḳhvāb kā hai
baras rahā hai zamīn-e-suḳhan pe jo 'ḳhurshīd'
kisī malāl kā yā abr-pāra ḳhvāb kā hai