dil bahak jaatā hai barsāt ke saath
ham bigaḌ jaate haiñ hālāt ke saath
vo muqaddas hai sahīfe kī tarah
hifz ho jaatā hai āyāt ke saath
kitne raushan haiñ dar-o-bām-e-ḳhayāl
ham chamakne lage zarrāt ke saath
dasht-e-jāñ aur tire dard kī lau
kaun guzrā hai mirī raat ke saath
ye ġhanīmat hai ki ham zinda haiñ
log mar jaate haiñ ādāt ke saath
koī tadbīr falak kī na chalī
ham javāñ ho ga.e āfāt ke saath
maslahat sach nahīñ kahne detī
log bikte haiñ karāmāt ke saath
ek raġhbat hai mai-e-nāb se 'qais'
ik ta.alluq hai ḳharābāt ke saath