zarb-e-hālāt kuchh nahīñ hotī
rañj kī baat kuchh nahīñ hotī
jis meñ dil kā ziyāñ nahīñ hotā
vo mulāqāt kuchh nahīñ hotī
vo jo shāyān-e-shān-e-faqr na ho
aisī ḳhairāt kuchh nahīñ hotī
bad-sharistī lahū meñ hotī hai
baat meñ baat kuchh nahīñ hotī
zo.am to āstīñ kā hotā hai
saañp kī zaat kuchh nahīñ hotī
log jo bā-vafā nahīñ hote
un kī auqāt kuchh nahīñ hotī
ek vaqfa visāl kā hai faqat
hijr kī raat kuchh nahīñ hotī
jab se āñkheñ ujaḌ ga.ī haiñ 'qais'
ghar meñ barsāt kuchh nahīñ hotī