saeed Qais

nazar mein rang samae hue usi ke hain

saeed Qais

Pakistan

-2018
nazar meñ rañg samā.e hue usī ke haiñ
ye saare phuul ugaa.e hue usī ke haiñ
usī ke lutf se bastī nihāl hai saarī
tamām peḌ lagā.e hue usī ke haiñ
usī ke husn kī parchhā.iyāñ haiñ pattoñ par
zamīñ ne bojh uThā.e hue usī ke haiñ
vo jis ke qurb se harf-e-visāl hai raushan
mire charāg jalā.e hue usī ke haiñ
ye bārisheñ bhī usī kī haiñ merī ā.ankhoñ meñ
ye abr zehn pe chhā.e hue usī ke haiñ
ye āgahī jo hameñ yuuñ hamāre haal kī hai
ye sab kamāl sikhā.e hue usī ke haiñ
ye toḌ-phoḌ ġhazal meñ usī ke naam kī hai
ye saare shor machā.e hue usī ke haiñ
hamāre lahje meñ jo ik miThās hai baaqī
hameñ ye zahr pilā.e hue usī ke haiñ
ba-juz jamāl hameñ aur kyā dikhā.ī de
nazar pe pahre biThā.e hue usī ke haiñ
usī jabīñ se nikaltā hai 'qais' chāñd mirā
ye āsamān sajā.e hue usī ke haiñ
Top Urdushayar.com