uzr havā ne kyā rakkhā hai
kaisā shor machā rakkhā hai
ik be-nām ta.alluq meñ bhī
ḳhauf bichhaḌne kā rakkhā hai
dekho ham ne is lamhe kā
kitnā bojh uThā rakkhā hai
us kī āñkheñ dekh rahā huuñ
jis ne jaal bichhā rakkhā hai
dhuup meñ us ne kis kī ḳhātir
chhat par chāñd ugā rakkhā hai
tum pāgal ho tum kyā jaano
kis ke dil meñ kyā rakkhā hai
ham ne terī ḳhātir hī to
āñkhoñ meñ rastā rakkhā hai
aaj ġhazal kuhnī thī ham ne
tum ko paas biThā rakkhā hai
'qais' apnī dīvār meñ ham ne
ek diyā dafnā rakkhā hai