saeed Qais

TuT jaane ka bhi imkan tha tum jaante the

saeed Qais

Pakistan

-2018
TuuT jaane kā bhī imkān thā tum jānte the
dil meñ sab kāñch kā sāmān thā tum jānte the
rāhat-e-qurb-e-rifāqat ke sabab zinda haiñ
varna jiinā kahāñ āsān thā tum jānte the
lazzat-e-dard se sairāb mujhe is ne kiyā
mujh pe ik shaḳhs kā ehsān thā tum jānte the
koī āvāz bhī patthar nahīñ kartī thī mujhe
apne jañgal kā maiñ sultān thā tum jānte the
kitnā mushkil thā kisī but kī parastish karnā
maiñ to kāfir bhī musalmān thā tum jānte the
zindagī mere tasarruf meñ thī vo kyā kartā
merī buniyād meñ tūfān thā tum jānte the
apne hāthoñ se likhūñ aur tumheñ roz paḌhūñ
dil meñ bas ek hī armān thā tum jānte the
ham-safar us ke the aur raḳht-e-safar bhī us kā
maiñ to bas be-sar-o-sāmān thā tum jānte the
ab use dard kī dahlīz pe chhoḌ aa.e ho
vo to haarā huā insān thā tum jānte the
jis kī ḳhushbū se mo.attar mere ash.ār the 'qais'
ek hī phuul mirī jaan thā tum jānte the
Top Urdushayar.com