saeed Qais

chand mashriq se nikalta nahin dekha maine

saeed Qais

Pakistan

-2018
chāñd mashriq se nikaltā nahīñ dekhā maiñ ne
tujh ko dekhā hai to tujh sā nahīñ dekhā maiñ ne
hādisa jo bhī ho chup-chāp guzar jaatā hai
dil se achchhā koī rasta nahīñ dekhā maiñ ne
phir darīche se vo ḳhushbū nahīñ pahuñchī mujh tak
phir vo mausam kabhī dil kā nahīñ dekhā maiñ ne
mom kā chāñd hathelī pe liye phirtā huuñ
shahr meñ dhuup kā mela nahīñ dekhā maiñ ne
chaḌhte sūraj kī shuāoñ ne mujhe paalā hai
jo utar jaa.e vo dariyā nahīñ dekhā maiñ ne
phir mire paañv kī zanjīr hilā de koī
kab se is shahr kā rasta nahīñ dekhā maiñ ne
mujh ko paanī meñ utarne kī sazā detā hai
vo samajhtā hai ki dariyā nahīñ dekhā maiñ ne
'qais' kahte haiñ faqīroñ pe bahut bhauñktā hai
apne ham-sā.e kā kuttā nahīñ dekhā maiñ ne
Top Urdushayar.com