saeed Qais

aarzu-e-visal-e-yar karen

saeed Qais

Pakistan

-2018
ārzū-e-visāl-e-yār kareñ
kis ke aane kā intizār kareñ
dard ke kis maqām se guzreñ
apnā dariyā kahāñ se paar kareñ
kis se kis moḌ par bichhaḌ jaa.eñ
kaun sā hijr iḳhtiyār kareñ
ye jo ik zaḳhm-e-jāñ pas-e-jāñ hai
kis ke siine ke ār-pār kareñ
fursat-e-shauq umr-e-āvāra
aa tujhe aaj sharmsār kareñ
dil kī ūñchī machān par baiTheñ
aur koī aarzū shikār kareñ
mas.ala ye hai kis havāle se
koī ḳhvāhish sipurd-e-yār kareñ
kaash tum roz hī mukar jaao
kaash ham roz intizār kareñ
chāñd chhat par zarūr aa.egā
merī āñkhoñ kā e'tibār kareñ
ek mushkil sī aa paḌī hai 'qais'
terī āñkhoñ pe kyā nisār kareñ
Top Urdushayar.com