saeed Qais

KHayal-o-KHwab ki duniya kahan hai

saeed Qais

Pakistan

-2018
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā kahāñ hai
tirī āñkheñ tirā chehrā kahāñ hai
ham apne shauq meñ Duube hue haiñ
hamāre shahr meñ dariyā kahāñ hai
to saarī justujū hī rā.egāñ thī
vo ik lamha rifāqat kā kahāñ hai
har ik taare se jā kar pūchhtā huuñ
ye sūraj raat ko jaatā kahāñ hai
ye kaisā shor hai dīvār-o-dar kā
hamāre ghar meñ vo rahtā kahāñ hai
abhī rusvā.iyāñ to aur hoñgī
abhī ham ne use sochā kahāñ hai
agar ham ret kī dīvār the to
hamāre jism kā malba kahāñ hai
talab ke rāste par aa gayā huuñ
batāo ab mujhe jaanā kahāñ hai
muhalle-dār sab ārām se haiñ
mire ham-sā.e kā kuttā kahāñ hai
ye ham jo 'qais' haiñ bas naam ke haiñ
hamāre sar meñ vo saudā kahāñ hai
Top Urdushayar.com