raah ke pattharoñ se bhārī hai
ham ne kyā zindagī guzārī hai
raat ulTī pahan ke sotā huuñ
hijratoñ kā azaab jaarī hai
ham to baazī lagā ke haar chuke
dosto ab tumhārī baarī hai
mujh pe phūloñ kā qarz hai maiñ ne
zindagī shāḳh se utārī hai
sochtā huuñ ki thak gayā huuñ maiñ
terī jānib safar bhī jaarī hai
ye jo ham tum ko bhuul jaate haiñ
ik ta.alluq kī ustuvārī hai
ab zamāna badal gayā hai 'qais'
ab mohabbat bhī iḳhtiyārī hai