purāne sab nazāre jā rahe haiñ
na.e manzar ubhāre jā rahe haiñ
udhar hai sard-mehrī aur idhar se
ishāroñ par ishāre jā rahe haiñ
safīna ho rahā hai ġharq-e-tūfāñ
nigāhoñ se kināre jā rahe haiñ
nahīñ bātin pe ab koī tavajjoh
faqat zāhir sañvāre jā rahe haiñ
shab-e-ġham meñ ruḳh-e-raushan ke jalve
añdheroñ ko nikhāre jā rahe haiñ
kahīñ bikhrī paḌī hai zulf 'afzal'
kahīñ gesū sañvāre jā rahe haiñ