ek talvār hai talvār bhī do dhārī hai
zindagī phuul hai patthar se magar bhārī hai
ek aadat sī hai bezār tabī.at rahnā
varna us vaqt kahāñ koī bhī be-zārī hai
sarfaroshī kā maza hai na ḳhatā-poshī kā
dushman-e-jān bhī jazbāt se ab aarī hai
aao sansār kī qīmat meñ lagā.eñ bolī
log kahte haiñ ki insān meñ nādārī hai
jaane kis soch ke lamhe ne chhuā hai tujh ko
ik ajab kaif mirī ruuh pe bhī taarī hai
tishna tishna se badan meñ hai sharābī nashsha
chashma-e-faiz tirī aañkh se phir jaarī hai