kisī bhī raah pe ruknā na faisla kar ke
bichhaḌ rahe ho mirī jaan hausla kar ke
maiñ intizār kī hālat meñ rah nahīñ saktā
vo intihā bhī kare aaj ibtidā kar ke
tirī judā.ī kā manzar bayāñ nahīñ hogā
maiñ apnā saaya bhī rakkhūñ agar judā kar ke
mujhe to bahr-e-balā-ḳhez kī zarūrat thī
simaT gayā huuñ maiñ duniyā ko rāsta kar ke
kisī ḳhayāl kā koī vajūd ho shāyad
badal rahā huuñ maiñ ḳhvāboñ ko tajraba kar ke
kabhī na faisla jaldī meñ kījiye 'sāhil'
badal bhī saktā hai kāfir vo bad-duā kar ke