kuchh dil kā ta.alluq to nibhāo ki chalā maiñ
yā TuuT ke āvāz lagāo ki chalā maiñ
darpesh masāfat hai kisī ḳhvāb-nagar kī
ik diip mire paas jalāo ki chalā maiñ
is shahr ke logoñ pe bharosā nahīñ karnā
zanjīr koī dar pe lagāo ki chalā maiñ
tā-dil meñ tumhāre bhī na ehsās-e-vafā ho
jī bhar ke mujhe aaj satāo ki chalā maiñ
mushtāq nigāhoñ se ye sehr TuuT rahā hai
chehre pe koī rañg sajāo ki chalā maiñ
is shahr-e-marāsim meñ to sañgsār huā huuñ
patthar hī sar-e-rāh sajāo ki chalā maiñ
is tishna-labī par mujhe ezaaz to baḳhsho
ai bāda-kasho jaam uThāo ki chalā maiñ
is darja taġhāful kī nahīñ taab jigar ko
tum aur bahāne na banāo ki chalā maiñ
ik ḳhvāb hai vo ḳhvāb to puurā karo 'sāhil'
ik sher mirā mujh ko sunāo ki chalā maiñ