KHalid Malik Sahil

taqdir ke darbar mein alqab paDe the

KHalid Malik Sahil

Karachi, Sindh, Pakistan

1961
taqdīr ke darbār meñ alqāb paḌe the
ham log magar ḳhvāb meñ be-ḳhvāb paḌe the
yaḳh-basta havāoñ meñ thī ḳhāmosh haqīqat
ham soch kī dahlīz pe betāb paḌe the
tasvīr thī ehsās kī tahrīr havā kī
sahrā meñ tire aks ke girdāb paḌe the
kal raat meñ jis raah se ghar lauT ke aayā
us raah meñ bikhre hue kuchh ḳhvāb paḌe the
vo phuul jinheñ aap ne dekhā thā adā se
ujḌe hue mausam meñ bhī shādāb paḌe the
pachchīs baras baad use dekh ke sochā
ik qatra-e-kam-zāt meñ ġharqāb paḌe the
ham log to aḳhlāq bhī rakh aa.e haiñ 'sāhil'
raddī ke isī Dher meñ ādāb paḌe the
Top Urdushayar.com