javāb jis kā nahīñ koī vo savāl banā
maiñ ḳhvāb meñ use dekhūñ koī ḳhayāl banā
maiñ e'tirāf ke mausam meñ chup nahīñ rahtā
mire ḳhudā mirī hastī ke ḳhadd-o-ḳhāl banā
vo kaun hai jo mirī hijratoñ se TuuT gayā
vo kaun shaḳhs hai jo ā.īna-misāl banā
vo kis ke dhyān meñ aayā thā mausamoñ kī tarah
vo kaun hai jo mirī soch kā ḳhayāl banā
maiñ kis yaqīn se likkhā gayā huuñ miTTī par
vo kaun hai jo mire silsile kī Dhaal banā
tū iztirāb ke rañgoñ se āshnā hī nahīñ
bas ek til ke liye zā.iche meñ gaal banā
maiñ kho gayā huuñ kahīñ vaqt ke tahayyur meñ
mire ḳhudā mire din raat maah o saal banā