KHalid Malik Sahil

be-maza thi jo bad-maza kar di

KHalid Malik Sahil

Karachi, Sindh, Pakistan

1961
be-maza thī jo bad-maza kar dī
zindagī aap ne sazā kar dī
ek parda thā dostī kyā thī
bātoñ bātoñ meñ nāravā kar dī
tū ne va.ada kiyā thā jis din kā
dil ne us shaam intihā kar dī
tere hisse kā intizār kiyā
phir namāz-e-vafā adā kar dī
dekh kar bhī mujhe nahīñ dekhā
gavayyā rishte kī ibtidā kar dī
taire va.ade tirī amānat haiñ
par vo tasvīr jo chhupā kar dī
aaj bhī shauq hai jalāne kā
tū ne tahrīr bhī jalā kar dī
Top Urdushayar.com