tū tishnagī kī aziyyat kabhī furāt se pūchh
añdherī raat kī hasrat añdherī raat se pūchh
guzar rahī hai jo dil par vahī haqīqat hai
ġham-e-jahāñ kā fasāna ġham-e-hayāt se pūchh
maiñ apne aap meñ baiThā huuñ be-ḳhabar to nahīñ
nahīñ hai koī ta.alluq to apnī zaat se pūchh
dukhī hai shahr ke logoñ se bad-mizāj bahut
jo pūchhnā hai mohabbat se ehtiyāt se pūchh
tū apnī zaat ke andar bhī jhāñk le 'sāhil'
zamīñ kā bhed kisī roz kā.enāt se pūchh