KHalid Malik Sahil

main bhi huzur-e-yar bahut der tak raha

KHalid Malik Sahil

Karachi, Sindh, Pakistan

1961
maiñ bhī huzūr-e-yār bahut der tak rahā
āñkhoñ meñ phir ḳhumār bahut der tak rahā
kal shaam mere qatl kī tārīḳh thī magar
dushman kā intizār bahut der tak rahā
ab le chalā hai dasht meñ merā junūñ mujhe
is jin pe iḳhtiyār bahut der tak rahā
vo inkishāf-e-zāt kā lamha thā khul gayā
shāyad darūn-e-ġhār bahut der tak rahā
ab dekhte ho koī sahārā mile tumheñ
maiñ bhī to ashk-bār bahut der tak rahā
tum maslahat kaho yā munāfiq kaho mujhe
dil meñ magar ġhubār bahut der tak rahā
maiñ ḳhaak āsmāñ kī bulandī ko dekhtā
apnoñ pe e'tibār bahut der tak rahā
ilzām-e-ḳhud-sarī bhī to sābit kiyā gayā
maiñ jab ki ḳhāksār bahut der tak rahā
'sāhil' mirī balā se mirā hashr hogā kyā
duniyā meñ bā-vaqār bahut der tak rahā
Top Urdushayar.com