KHalid Malik Sahil

apne aansu hain tumhaare nahin ro sakta main

KHalid Malik Sahil

Karachi, Sindh, Pakistan

1961
apne aañsū haiñ tumhāre nahīñ ro saktā maiñ
aaj āñkhoñ se sitāre nahīñ ro saktā maiñ
ek taklīf kā dariyā hai badan meñ lekin
baiTh kar is ke kināre nahīñ ro saktā maiñ
maiñ huuñ majzūb mire dil kī haqīqat hai alag
laakh hote hoñ ḳhasāre nahīñ ro saktā maiñ
jism hai ruuh kī hiddat meñ pighalne vaalā
huuñ sharābor sharāre nahīñ ro saktā maiñ
maiñ tamāshā huuñ tamāshā.ī haiñ chāroñ jānib
sharm hai sharm ke maare nahīñ ro saktā maiñ
bad-gumāñ hone lagā hai ye tayaqqun kā jahāñ
mujh ko afsos hai pyāre nahīñ ro saktā maiñ
zarre zarre meñ qayāmat kā samāñ hai 'sāhil'
ek hī dil ke sahāre nahīñ ro saktā maiñ
Top Urdushayar.com