hausle kyā us but-e-be-jān ke
saare jhagḌe haiñ dil-e-nādān ke
naaz hai kis baat par insān ko
kis tarah chaltā hai siina taan ke
khet jal-thal kar diye sailāb ne
mar ga.e armān sab dahqān ke
de rahe haiñ maat ab shaitān ko
kārnāme hazrat-e-insān ke
chhup-chhupā ke vaar ham karte nahīñ
ham khilāḌī haiñ khule maidān ke
jab se badlī haiñ nigāheñ yaar ne
paḌ ga.e haiñ laale 'afzal' jaan ke