KHalid Malik Sahil

mere bhi kuchh gile the magar raat ho gai

KHalid Malik Sahil

Karachi, Sindh, Pakistan

1961
mere bhī kuchh gile the magar raat ho ga.ī
kuchh tum bhī ki rahe the magar raat ho ga.ī
duniyā se duur apne barābar khaḌe rahe
ḳhvāboñ meñ jāgte the magar raat ho ga.ī
āsāb sun rahe the thakāvaT kī guftugū
uljhan thī mas.ale the magar raat ho ga.ī
āñkhoñ kī raushnī meñ andhere bikhar ga.e
ḳheme se kuchh jale the magar raat ho ga.ī
ai dil ai mere dil ye sunā hai ki shaam ko
ghar se vo chal paḌe the magar raat ho ga.ī
aisī bhī kyā vafā kī kahānī thī ro paḌe
kuchh silsile chale the magar raat ho ga.ī
kuchh ziine iḳhityār ke chaḌhne lagā thā maiñ
kuchh vo utar rahe the magar raat ho ga.ī
dushman kī dostī ne masāfat sameT lī
qadmoñ meñ rāste the magar raat ho ga.ī
'sāhil' fareb-e-fikr hai duniyā kī dāstāñ
kuchh raaz khul chale the magar raat ho ga.ī
Top Urdushayar.com