ik tirī yaad ke sahāre par
zindagī kaT ga.ī kināre par
kaun raste badal rahā hai vahāñ
kaun rahtā hai is sitāre par
raushnī kī agar alāmat hai
raakh uḌtī hai kyuuñ sharāre par
imtihāñ kī ḳhabar nahīñ lekin
ro rahā huuñ abhī ḳhasāre par
jab nazar ko nazar nahīñ aayā
zindagī ruk ga.ī nazāre par
mere isrār par nahīñ aayā
jis ko isrār thā ishāre par
ḳhud-numā.ī kā jaal thā 'sāhil'
maiñ ne bhī fikr ke sañvāre par