baḌe jatan se baḌe soch se utārā gayā
mirā sitārā sar-e-ḳhāk bhī sañvārā gayā
mirī vafā ne junūñ kā hisāb denā thā
so aaj mujh ko bayābān se pukārā gayā
bas ek ḳhauf thā zinda tirī judā.ī kā
mirā vo āḳhirī dushman bhī aaj maarā gayā
mujhe yaqīn thā is tajrabe se pahle bhī
sunā hai ġhair se jalva nahīñ sahārā gayā
sajā diyā hai tasavvur ne dhuup kā manzar
agarche barf kī tasvīr se guzārā gayā
milā hai ḳhaak se nisbat kā phir sila mujh ko
mirā hī naam hai gardūñ se jo pukārā gayā
maiñ dekhtā rahā duniyā ko duur se 'sāhil'
mire makān se aage talak kinārā gayā