Afzal Hazarvi

yaadon ki jagir na hoti to main yaro kya karta

Afzal Hazarvi

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1963
yādoñ kī jāgīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
gar us kī tasvīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
us ke dam se rāñjhā thā maiñ vo hī mirī pahchān banī
vo gar merī hiir na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
qaa.il karnā kaam thā mushkil par vo qaa.il ho hī gayā
lahje meñ tāsīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
merā kaam tamām thā varna us ke nek irāde se
hāthoñ meñ shamshīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
andar se maiñ TūTā-phūTā ek khañDar vīrāna thā
zāhir jo ta.amīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
zulmat-e-shab meñ raushan 'afzal' ik nanhā sā jugnū thā
itnī bhī tanvīr na hotī to maiñ yaaro kyā kartā
Top Urdushayar.com