na tez-rau the na joinda-e-maqām the ham
vo ham-safar thā to kaise sabā-ḳhirām the ham
hujūm-e-sañg meñ kyā ho suḳhan-tarāz koī
vo ham-suḳhan thā to kyā kyā na ḳhush-kalām the ham
bahut qarīb se dekhe jo us ke lab to khulā
ki ek umr se kyuuñ itne tishna-kām the ham
vo saarā daur thā rusvā.iyoñ se pahle kā
ki shahr-yār the yāroñ meñ nek-nām the ham
ye mehrbānī bhī ham pe rahī mohabbat kī
ki ḳhaas rahte hue bhī bahut hī aam the ham
visāl kā koī imkān hī na thā 'ḳhāvar'
vo zar-nigār-e-sahar thā ġhubār-e-shām the ham