Bismil Sabri

sahar hui to KHayalon ne mujhko gher liya

Bismil Sabri

1937
sahar huī to ḳhayāloñ ne mujh ko gher liyā
jab aa.ī shab tire ḳhvāboñ ne mujh ko gher liyā
mire laboñ pe abhī naam thā bahāroñ kā
hujūm-e-shauq meñ ḳhāroñ ne mujh ko gher liyā
kabhī junūñ ke zamāne kabhī firāq-ruteñ
kahāñ kahāñ tirī yādoñ ne mujh ko gher liyā
nikal ke aa to gayā gahre pāniyoñ se magar
ka.ī tarah ke sarāboñ ne mujh ko gher liyā
ye jī meñ thā ki nikal jā.ūñ tujh se duur kahīñ
ki tere dhyān kī bāñhoñ ne mujh ko gher liyā
jab aayā iid kā din ghar meñ bebasī kī tarah
to mere phuul se bachchoñ ne mujh ko gher liyā
hujūm-e-rañj se kaise nikal sake 'bismil'
tirī talāsh ke rishtoñ ne mujh ko gher liyā
Top Urdushayar.com