Khawar Ahmad

main jis KHwab mein rahta hun pahle us KHwab tak aaya wo

Khawar Ahmad

1955
maiñ jis ḳhvāb meñ rahtā huuñ pahle us ḳhvāb tak aayā vo
phir us ḳhvāb se dil ke raste merī kitāb tak aayā vo
mai-ḳhāne tak jaane kā phir hosh bhalā kis ko rahtā
jis mastī meñ saath mire is shahr-e-sharāb tak aayā vo
kitnī pyaas aur kitnī masāfat un āñkhoñ meñ likkhī thī
ek sarāb se niklā to ik aur sarāb tak aayā vo
us ke ba.ad to jo karnā thā aap janāb ne karnā thā
us kī to me.arāj yahī thī aap janāb tak aayā vo
us kī ḳhātir chashm o dil o jaañ farsh-e-rāh to karnā tujhe
us jañgal meñ 'ḳhāvar' mujh se ḳhāna-ḳharāb tak aayā vo
Top Urdushayar.com