Khawar Ahmad

itne be-mehr mausamon mein bhi usne had kar di mehrbani ki

Khawar Ahmad

1955
itne be-mehr mausamoñ meñ bhī us ne had kar dī mehrbānī kī
kiyā mehmān mujh musāfir ko aur phir dil se mezbānī kī
us ke andāz se jhalaktā thā koī kirdār dāstānoñ kā
us kī āvāz se bikhartī thī koī ḳhushbū kisī kahānī kī
shaam ḳhāmosh thī so us ne bhī guftugū se gurez karte hue
jalte jazboñ ko rakkhā āñkhoñ meñ jism se dil kī tarjumānī kī
pahle us ne gale lagāyā mujhe aur phir le ga.ī bahishtoñ meñ
ek baat us ne kī zamīnī sī dūsrī baat āsmānī kī
ab to hālat huī re.āyā sī ab vo tārīḳh kyā kaheñ 'ḳhāvar'
dil kī jo saltanat milī thī hameñ us pe kis kis ne hukmarānī kī
Top Urdushayar.com