Khawar Ahmad

kahin jalti apni hi aanch se kahin KHushbuon mein bhari hui

Khawar Ahmad

1955
kahīñ jaltī apnī hī aañch se kahīñ ḳhushbuoñ meñ bharī huī
koī shāḳh-e-gul thī ki aag thī mire bāzuoñ meñ bharī huī
vo tilismī raat abhī talak mire jism o jaañ pe muhīt hai
vo jo raat utrī thī arsh se tire jāduoñ meñ bharī huī
tire chashm o lab kī shabāhateñ mujhe roz o shab mileñ baaġh meñ
kahīñ titliyoñ pe likhī huī kahīñ jugnuoñ meñ bharī huī
mujhe sair-e-gul kī kisī ravish pe milī nahīñ hai misāl bhī
koī be-misāl sī mushk thī tire gesuoñ meñ bharī huī
tū chalā gayā hai to shahr phir vahī dasht-e-ġham hai mire liye
vahī maiñ huuñ aur mirī zindagī mire āñsuoñ meñ bharī huī
Top Urdushayar.com