zard chehroñ se nikaltī raushnī achchhī nahīñ
shahr kī galiyoñ meñ ab āvārgī achchhī nahīñ
zinda rahnā hai to har bahrūpiye ke saath chal
makr kī tīra-fazā meñ sādgī achchhī nahīñ
kis ne izn-e-qatl de kar sādgī se kah diyā
aadmī kī aadmī se dushmanī achchhī nahīñ
jab mire bachche mire vāris haiñ un ke jism meñ
sochtā huuñ hiddat-e-ḳhūñ kī kamī achchhī nahīñ
gosh-bar-āvāz haiñ kamre kī dīvāreñ 'sabā'
taḳhliye meñ ḳhud se achchhī baat bhī achchhī nahīñ