Bismil Sabri

hairan hun ki ab laun kahan se main zaban aur

Bismil Sabri

1937
hairāñ huuñ ki ab lā.ūñ kahāñ se maiñ zabāñ aur
lab kahte haiñ kuchh aur unheñ hotā hai gumāñ aur
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ mohabbat ke ḳharīdār
arbāb-e-siyāsat ne to kholī hai dukāñ aur
ma.alūm nahīñ hai mire sayyād ko shāyad
ghuTtī hai agar saañs to khultī hai zabāñ aur
ab vāda-e-fardā meñ kashish kuchh nahīñ baaqī
dohrā.ī huī baat guzartī hai girāñ aur
dekhegī jo ik pal meñ mirī aañkh se tujh ko
ho jā.egī duniyā tirī jānib nigarāñ aur
lag jaatī haiñ mohreñ sī laboñ par unheñ mil kar
hotā hai magar dil ke dhaḌakne kā samāñ aur
khultī haiñ nahīñ hashr ke din bhī mirī āñkheñ
shāyad ki muqaddar meñ hai ik ḳhvāb-e-girāñ aur
ham raakh hue us pe magar aañch na aa.ī
jalne kā samāñ aur jalāne kā samāñ aur
go arz-o-talab ek hasīñ shaġhl hai lekin
is khel meñ baḌh jaatā hai andesha-e-jāñ aur
me.arāj-e-takallum hai ḳhamoshī mirī 'bismil'
aatī hī nahīñ koī mujhe tarz-e-fuġhāñ aur
Top Urdushayar.com