ḳhushā vo baaġh mahaktī ho jis meñ bū terī
ḳhushā vo dasht ki ho jis meñ justujū terī
ḳhamosh hai magar ik ālam-e-takallum hai
laboñ pe ġhunche ke goyā hai guftugū terī
jigar bhī chaak huā dil bhī pāra-pāra huā
lagī huī hai magar dil se aarzū terī
muqābil ruḳh-e-zebā na honā ai gul-e-tar
kahīñ na ḳhaak meñ mil jaa.e aabrū terī
asīr-e-sahn-e-gulistāñ nahīñ dil-ārā.ī
shamīm-e-lutf dil-afzā hai kū-ba-kū terī
tarīq-e-ahl-e-nazar meñ hai man.a yaksūī
zi-bas-ki jalva-firozī hai chār-sū terī
hanūz dasht-e-ḳhutan nāfa-zār-e-ālam hai
kabhī khulī thī udhar zulf-e-mushk-bū terī
farishta-e-ajal aa.e parī ke qālib meñ
ba-vaqt-e-marg jo sūrat ho rū-ba-rū terī
umīd-e-lutf pe 'hasrat' hai bāġh-e-rizvāñ meñ
sunā hai jab se ki lutf-o-karam hai ḳhū terī