Hasrat Sharvani

ru-e-zeba nazar nahin aata

Hasrat Sharvani

rū-e-zebā nazar nahīñ aatā
apnā jiinā nazar nahīñ aatā
lāf-e-ulfat bahut zamāne meñ
marne vaalā nazar nahīñ aatā
dard-e-dil kī davā hai jis kī nazar
vo masīhā nazar nahīñ aatā
gul-o-gulshan se kyā tasallī ho
gul-e-ra.anā nazar nahīñ aatā
phuul buuTe bahut haiñ gulshan meñ
sarv-e-bālā nazar nahīñ aatā
tab-e-mavvāj ke muqābil ho
aisā dariyā nazar nahīñ aatā
jis pe miT jaane kī tamannā hai
vo sarāpā nazar nahīñ aatā
chhān Daalā jahān us ke liye
nahīñ aatā nazar nahīñ aatā
jis meñ vahshat ke hausle nikleñ
aisā sahrā nazar nahīñ aatā
thak ga.ī taare ginte ginte nigāh
māh-sīmā nazar nahīñ aatā
jis meñ sūrat-numā ho naqsh-e-murād
aisā naqsha nazar nahīñ aatā
lākhoñ jalva nazar meñ haiñ 'hasrat'
jalva-farmā nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com