ḳhushk hoñToñ kī anā mā.il-e-sāġhar kyuuñ hai
tū samundar hai to ye pyaas kā manzar kyuuñ hai
ye fusūñ-kārī-e-ehsās hai yā aks-e-hayāt
ā.ina-ḳhāne kā har aa.ina shashdar kyuuñ hai
qurb-e-sāhil bhī Thahartī nahīñ ab kashtī-e-jāñ
itnā barham mire andar kā samundar kyuuñ hai
sho.ala sho.ala hai har ik shāḳh mirī palkoñ kī
phir bhī āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb kā paikar kyuuñ hai
jumbish-e-lab kī bhī jur.at nahīñ hāsil hai agar
phir mire dil meñ ye jazbāt kā lashkar kyuuñ hai
kyā koī lamha-e-jāñ-soz hai aane vaalā
lau diye kī mire is raat fuzūñ-tar kyuuñ hai
Dhañg aayā na tujhe bhes badalne kā 'sa.īd'
baat jo dil meñ hai tere vahī lab par kyuuñ hai