ḳhudī merā pata detī hai ab bhī
mujhe mujh se milā detī hai ab bhī
guzishta mausamoñ kī narm ḳhushbū
ta.alluq kā pata detī hai ab bhī
kabhī rah rah ke ik gumnām ḳhvāhish
safar kā hausla detī hai ab bhī
ye āvāra-mizājī dasht-e-jāñ meñ
nayā jaadū jagā detī hai ab bhī
ummīd-e-sub.h-e-nau har shām-e-ġham meñ
thakan saarī miTā detī hai ab bhī
chamak ḳhush-rañg lahje kī tumhāre
na.ī sham.eñ jalā detī hai ab bhī
ġhazal ke dil-rubā lahje kī shoḳhī
suḳhan kā silsila detī hai ab bhī