Bismil Sabri

wo aks ban ke meri chashm-e-tar mein rahta hai

Bismil Sabri

1937
vo aks ban ke mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai
ajiib shaḳhs hai paanī ke ghar meñ rahtā hai
vahī sitāra shab-e-ġham kā ik sitāra hai
vo ik sitāra jo chashm-e-sahar meñ rahtā hai
khulī fazā kā payāmī havā kā baasī hai
kahāñ vo halqa-e-dīvār-o-dar meñ rahtā hai
jo mere hoñToñ pe aa.e to gungunā.ūñ use
vo sher ban ke bayāz-e-nazar meñ rahtā hai
guzartā vaqt mirā ġham-gusār kyā hogā
ye ḳhud ta.āqub-e-shām-o-sahar meñ rahtā hai
mirā hī ruup hai tū ġhaur se agar dekhe
bagūla sā jo tirī rahguzar meñ rahtā hai
na jaane kaun hai jis kī talāsh meñ 'bismil'
har ek saañs mirā ab safar meñ rahtā hai
Top Urdushayar.com