bayāñ ho kis tarah soz-o-alam kī dāstāñ merī
na sāthī koī suntā hai na mīr-e-kārvāñ merī
mirā shauq-e-takallum mujh ko kis mahfil meñ le aayā
yahāñ to baat karne ko tarastī hai zabāñ merī
zabāñ par sabt gar mohr-e-sitamgar hai to kyā ġham hai
ki merī ḳhāmushī hī ban rahī hai ab zabāñ merī
mujhe ai bāġhbāñ shikva ho kyoñ qaid-o-salāsil kā
ki ab saare chaman kī dāstāñ hai dāstāñ merī
nishāñ to miT gayā sayyād mere āshiyāne kā
chaman meñ har taraf bikhrī hai ḳhāk-e-āshiyāñ merī
kuchh aisā soz pinhāñ thā mire andāz-e-girya meñ
chaman vāloñ ne mil kar luuT lī tarz-e-fuġhāñ merī
jahāñ meñ kis tarah mujh ko sukūn-e-qalb hāsil ho
banī hai zindagī hī jab sarāpā imtihāñ merī
merī sahrā-navardī par na ho hairān ai hamdam
abhī hai ārzū-e-ābla-pā.ī javāñ merī
ye dil hai yā ki hai nākām ummīdoñ kā gahvāra
ki har ḳhvāhish hai hasrat-ḳhez har hasrat javāñ merī
'sa.īd' apnā vatan har aan hī āñkhoñ meñ rahtā hai
usī kī yaad goyā ban ga.ī hai jān-e-jāñ merī