Naqqash Abidi

haq jo manga to mere hath mein kashkol diya

Naqqash Abidi

haq jo māñgā to mire haath meñ kashkol diyā
aaj us ne mire ehsās kā dar khol diyā
mere hoñToñ ko saḳhāvat ke qasīde de kar
har galī jā ke bajāne ko mujhe Dhol diyā
chun ke har ek vafā aur muravvat merī
mujh ko tahqīr kī mīzān meñ kyuuñ tol diyā
mere luqme pe nazar aise paḌī thī us kī
zahr sā ik mire ehsās meñ bas ghol diyā
us ghaḌī us ne mirī zaat se māñgī hai najāt
merī hastī kī har ik shaan ko jab rol diyā
ek lamhe meñ badal Daalī hai dil kī duniyā
jaane kyā us kī nigāhoñ ne mujhe bol diyā
jism meñ ruuh kī mānind samā kar us ne
ahd-e-hijrāñ kā mujhe tohfa-e-anmol diyā
Top Urdushayar.com