tumhārā naam zabāñ se nikal gayā āḳhir
zamāna mere gumāñ se nikal gayā āḳhir
sambhāl kar jise rakkhā huā thā muddat se
vo tiir terī kamāñ se nikal gayā āḳhir
tamām apne savāl-o-javāb bhuul ga.e
hisāb-e-sūd-o-ziyāñ se nikal gayā āḳhir
har ek shaḳhs meñ tujh ko talāsh kartā huā
hujūm-e-nukta-varāñ se nikal gayā āḳhir
jo lāzmī thā tire sāmne adā honā
vo ek lafz bayāñ se nikal gayā āḳhir
tumhāre sāmne kab tak ḳhirad vafā kartī
makīn-e-hosh makāñ se nikal gayā āḳhir
mirī talāsh meñ had hī ubuur kar Daalī
mire liye vo jahāñ se nikal gayā āḳhir