rahnumāoñ kī baat karte ho
pārsāoñ kī baat karte ho
jo uḌā leñ saroñ se āñchal bhī
un havāoñ kī baat karte ho
jal rahī hai zamīñ kī kokh magar
tum ḳhalāoñ kī baat karte ho
mujh ko mehnat kā bhī sila na milā
tum duāoñ kī baat karte ho
pahle insāñ ko zahr dete ho
phir davāoñ kī baat karte ho
merī bastī meñ bhuuk paltī hai
tum balāoñ kī baat karte ho
maar Daalā vafā-shi.āroñ ne
be-vafāoñ kī baat karte ho
kitne fir.aun miT ga.e aa kar
kin ḳhudāoñ kī baat karte ho