Naqqash Abidi

hath Khaali sar-e-bazar liye phirti hai

Naqqash Abidi

haath ḳhālī sar-e-bāzār liye phirtī hai
ruuh meñ saiñkaḌoñ āzār liye phirtī hai
be-ḳhabar hai ki nahīñ haath meñ phūTī-kauḌī
maañ jise god meñ bīmār liye phirtī hai
ek doshīza numā.ish kā sahārā le kar
kitne be-shakl ḳharīdār liye phirtī hai
noch kar apnī hayā oḌh ke chehre pe fareb
ek gumrāh sā kirdār liye phirtī hai
hasrat-o-yās ko laḌiyoñ meñ piro kar buḌhiyā
mere bachpan se vahī haar liye phirtī hai
khul gayā raaz sitāre haiñ baġhāvat ke nishāñ
raat kyuuñ ḳhauf ke āsār liye phirtī hai
zabt sheva hai ba-har-hāl hamārā varna
har zabāñ nok pe talvār liye phirtī hai
Top Urdushayar.com