Naqqash Abidi

ruh meri alag hai jaan alag

Naqqash Abidi

ruuh merī alag hai jaan alag
zaat kā nā-tavāñ makān alag
har taraf phailtī huī kirneñ
ik añdhere kā ḳhāndān alag
ek zarra huuñ aur kuchh bhī nahīñ
huuñ bahut kuchh hai ye gumān alag
qaid haiñ aañkh meñ ka.ī sapne
aur hai fikr kī uḌaan alag
ik taraf shor ḳhāna-e-dil meñ
aql rahtī hai be-zabān alag
kar rahā hai nasīb kī bāteñ
aur tadbīr par hai maan alag
Dūbte tairte hue qisse
aur hairat kī dāstān alag
Top Urdushayar.com