aap apne raqīb haiñ ham log
kis qadar bad-nasīb haiñ ham log
daulat-e-dard se haiñ mālā-māl
go ba-zāhir ġharīb haiñ ham log
ham ko har haal meñ ujaḌnā hai
āshiqoñ kā nasīb haiñ ham log
jitne apnī ḳhudī se duur hue
utne un se qarīb haiñ ham log
phir na sañvre bigaḌ ke ham shāyad
dushmanoñ kā nasīb kā nasīb haiñ ham log
maut se khelte haiñ shām-o-sahar
zindagī ke qarīb haiñ ham log
un kī nazroñ se duur haiñ phir bhī
un ke dil se qarīb haiñ ham log
ham se pūchho haqīqateñ ġham kī
der se ġham-nasīb haiñ ham log
kis ko jā kar sunā.īñ haal apnā
ajnabī haiñ ġharīb haiñ ham log
dosh-e-hastī pe haar haiñ 'ra.anā'
āj-kal ke adiib haiñ ham log