Birj Lal Raana

KHayal ko zau nazar ko tabish nafas ko raKHshandagi milegi

Birj Lal Raana

ḳhayāl ko zau nazar ko tābish nafas ko raḳhshandagī milegī
bhaḌak uThā soz-e-ġham jo dil meñ to har kahīñ raushnī milegī
ḳhalish kī tah meñ sukūñ milegā alam kī tah meñ ḳhushī milegī
baġhaur dekho to maut meñ bhī tumheñ na.ī zindagī milegī
maqām-e-insāñ maqām-e-yazdāñ meñ fāsla hai bas ik qadam kā
jahāñ malegī ḳhudī kī sarhad vahīñ had-e-be-ḳhudī milegī
ye zauq-e-sajda shikast-ḳhurda tabī.atoñ kī hai ḳhud-farebī
bashar kī taslīm kī tahoñ meñ bashar kī kam-himmatī milegī
nigāh jitnī bulandī hogī ye utnī hī arjumand hogī
ba-qadr-e-qurb-e-falak kiran meñ harārat-o-raushnī milegī
hai ḳhud-shanāsī jahāñ-shanāsī jahāñ-shanāsī ḳhudā-shanāsī
milī jo tujh ko ḳhudī kī daulat to daulat-e-sarmadī milegī
agar hai terī nigāh bāliġh agar hai terā shu.ūr puḳhta
to jehl kī zulmatoñ hī se tujh ko mash.al-e-āgahī malegī
ġham-o-musarrat mileñge bāham to zindagī bhī chamak uThegī
ye rū hai manfī ye rū hai musbat milegī ye raushnī milegī
rah-e-talab ke safar meñ 'ra.anā' sukūñ hai ḳhvāb-o-ḳhayāl yaksar
qadam qadam Thokareñ lageñgī nafas nafas barhamī milegī
Top Urdushayar.com