Birj Lal Raana

aarzuen nazr-e-dauran nazr-e-jaanan ho gain

Birj Lal Raana

ārzūeñ nazr-e-daurāñ nazr-e-jānāñ ho ga.iiñ
kyā bahāreñ thiiñ jo do phūloñ pe qurbāñ ho ga.iiñ
ġham kī shīrīñ talḳhiyāñ jiine kā sāmāñ ho ga.iiñ
bijliyāñ ḳhūn-e-rag-e-jān-e-gulistāñ ho ga.iiñ
rūh-e-ġham rūh-e-tarab rūh-e-ajal rūh-e-hayāt
jab ye bāham mil ga.iiñ taqdīr-e-insāñ ho ga.iiñ
yaad hai un kī ki ik muaj-e-jamāl-o-rañg-o-bū
sham.eñ kaliyoñ kī sī us dil meñ farozāñ ho ga.iiñ
āñsuoñ ke zabt se betābī-e-dil baḌh ga.ī
is tarah simTīñ ye būñdeñ ek tūfāñ ho ga.iiñ
ek vo haiñ jin ke vīrāne bane haiñ bastiyāñ
ek ham haiñ bastiyāñ bhī jin kī vīrāñ ho ga.iiñ
un kā jalva dekhte hī uḌ ga.e hosh-o-havās
kashtiyāñ sāhil se lag kar nazr-e-tūfāñ ho ga.iiñ
hādsoñ ne kar diyā paidā ḳhayāl-e-hifz-e-jāñ
bijliyāñ hī vaj.h-e-tanzīm-e-gulistāñ ho ga.iiñ
chhaT ga.iiñ 'ra.anā' ḳhunuk aahoñ se ġham kī zulmateñ
badliyāñ ThanDī havāoñ se pareshāñ ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com