duniyā meñ vafā-kesh bashar DhūñDh rahā huuñ
maiñ naḳhl-e-sanobar meñ samar DhūñDh rahā huuñ
maiñ apnī duāoñ meñ asar DhūñDh rahā huuñ
tārīk fazāoñ meñ qamar DhūñDh rahā huuñ
maiñ aur tamāshā-e-gul-o-rañg pe maa.il
khoyā huā ik zauq-e-nazar DhūñDh rahā huuñ
vo sub.h-e-qayāmat meñ hue jaate haiñ pinhāñ
maiñ shām-e-musībat kī sahar DhūñDh rahā huuñ
ḳhushbū kī tarah ḳhalvat-e-gul se huuñ ramīda
zindān-e-tamannā se mafar DhūñDh rahā huuñ
tashbīh ke afsūñ kā asar pūchho na 'ra.anā'
shamshīr meñ us but kī nazar DhūñDh rahā huuñ