Birj Lal Raana

zabt-e-nala dil-e-figar na kar

Birj Lal Raana

zabt-e-nāla dil-e-figār na kar
aag ko aur sho.ala-bār na kar
shab-e-ġham dāġh-e-dil kī sham.a jalā
chāñd-tāroñ kā intizār na kar
shauq se phuul chun chaman meñ magar
ḳhār-o-ḳhas ko zalīl-o-ḳhvār na kar
māh-o-anjum pe Daal baḌh ke kamand
past zarroñ par apnā vaar nā kar
gāmzan ho jo shauq-e-manzil hai
raah ke pech-o-ḳham shumār na kar
aur paidā kar apne ḳhuun se phuul
rāt-din mātam-e-bahār na kar
sub.h kā saaz bhī to chheḌ zarā
shaam kā zikr baar baar na kar
sar-nigūñ ho na maut ke aage
zindagānī ko sharmsār na kar
kuchh mizāj-e-gul-o-saman bhī samajh
sirf nazzāra-e-bahār na kar
aag se khelnā nahīñ achchhā
bhuul kar bhī kisī ko pyaar na kar
dūsroñ kā to zikr ishq meñ kyā
apne dil par bhī e.atibār na kar
ḳhaar ko bhī nazar meñ rakh 'ra.anā'
gul se andāza-e-bahār na kar
Top Urdushayar.com