Birj Lal Raana

mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai

Birj Lal Raana

mohabbat naġhma bhī hai saaz bhī hai
shikast-e-sāz kī āvāz bhī hai
hai niyyat hī meñ dozaḳh aur jannat
yahī dam-soz bhī dam-sāz bhī hai
na toḌeñ merā sāz-e-dil na toḌeñ
ki is meñ aap kī āvāz bhī hai
mohabbat yuuñ to hai ik lafz-e-sāda
jo samjho to fasāna-sāz bhī hai
qafas parvāz-e-dushman to hai lekin
qafas ik dāvat-e-parvāz bhī hai
yahī gul hai jo tasvīr-e-ḳhamoshī
shikast-e-ġhuncha kī āvāz bhī hai
nahīñ zanjīr-e-pā hī ye tasavvur
jo bañdh jaa.e par-e-parvāz bhī hai
maiñ terā raaz kholūñ bhī to kyuuñ kar
ki terā raaz merā raaz bhī hai
ye duniyā hai jo ḳhvāb-e-nāz 'ra.anā'
yahī ta.abīr-e-ḳhvāb-e-nāz bhī hai
Top Urdushayar.com