Agha Hajju Sharaf

uD kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
uḌ kar surāġh-e-kūcha-e-dilbar lagā.iye
kis tarah donoñ bāzuoñ meñ par lagā.iye
ik tiir dil par ek jigar par lagā.iye
hissa lagā.iye to barābar lagā.iye
phūloñ meñ topiye mujhe nāzuk-dimāġh huuñ
lillāh is lahad meñ na patthar lagā.iye
jab bazm-e-yār meñ hai takalluf rasā.ī kā
ḳhalvat-sarā-e-ḳhās meñ bistar lagā.iye
har dam kiyā kare rag-e-jāñ marhabā kā shor
is nok-jhoñk se koī nashtar lagā.iye
barsoñ se be-qarār hai taskīn ke liye
jhukiye zarā jigar se mire sar lagā.iye
kyā bastanī qafas kī ye bulbul ko bhejiye
hisse meñ us ke phūloñ kī chādar lagā.iye
jā apne dil meñ dījiye mujh sāf-qalb ko
ā.īne meñ shabīh-e-sikandar lagā.iye
yāvar nasīb ho to hasīnoñ ko chāhiye
dil un se aazmā ke muqaddar lagā.iye
aksar vo kahte haiñ ki jo bosa talab kare
is guftugū pe muñh ise kyūñkar lagā.iye
aa.e dahān-e-zaḳhm se āvāz aur aur
is is adā-o-nāz se ḳhanjar lagā.iye
purze mire uḌā.iye bhejā hai maiñ ne ḳhat
be-jurm kyuuñ kabāb-e-kabūtar lagā.iye
sūrat jo ek ek kī taktā hai aa.ina
hasrat ye hai surāġh-e-sikandar lagā.iye
haiñ aap to tamām ḳhudā.ī ke nāḳhudā
merā jahāz bhī lab-e-kausar lagā.iye
barham-mizāj ho ke vo bargasht-agī kare
daftar meñ jis ke fard-e-muqaddar lagā.iye
daulat jo mujh ġharīb kī luuTī hai aap ne
kyā kījiyegā hissa-e-lashkar lagā.iye
jatanoñ kī jāneñ liiñ haiñ unheñ ḳhūñ-bahā mile
puurā hisāb dekh ke daftar lagā.iye
us gul kī aa hī jā.egī ḳhushbū dimāġh meñ
chaliye riyāz-e-ishq meñ chakkar lagā.iye
ifshā kiyā jo ishq to jhuñjhlā ke bole vo
likhvā ke ishtihār ye ghar ghar lagā.iye
sau jā se dil phaTā hai kalejā hai chaak chaak
paivand phaaḌ phaaḌ ke chādar lagā.iye
phir uTh ke tere haath se kaTvā.iye galā
kyūñ-kar dobāra jism meñ phir sar lagā.iye
saath is qadar haiñ us shah-e-ḳhūbāñ ke sarfarosh
barsoñ hisāb kasrat-e-lashkar lagā.iye
kahte haiñ laḳht-e-dil ko vo bāzār-e-husn meñ
saudā ye mere urdu se bāhar lagā.iye
mujh se lagāvaT aap kī shamshīr kartī hai
martā huuñ us pe is ko mire sar lagā.iye
sailāb-e-ashk ne mire raste kiye haiñ band
kashtī mañgā ke muttasil-e-dar lagā.iye
ḳhil.at shahīd-e-nāz ko bhijvāte haiñ javāb
kashtī meñ pahle phūloñ kī chādar lagā.iye
pahuñchā ke ḳhat halāl huā hai ye ai 'sharaf'
āñkhoñ se le ke ḳhūn-e-kabūtar lagā.iye
Top Urdushayar.com